Saturday, 6 October 2012

Yaadein bachpan ki

waqt ki raftar ko kon rok paya hai
kal mai kaha thi, aur aaj kaha
ye sab waqt hi ki to maya hai....

papa ke laad aur maa ke pyar se
aaj bhi aankho me pani bhar aaya hai
nanhi pari ne dekhe dher saare sapne
jinhe poora karne to aaj door bhi use jana hai...

yuhi jivan ke panne palat
khayal mere man me aaya hai
jo bachpan ki yaado ko taja kar
samne mere laya hai...

yu bhaiyo ke saath ladna, jhagadna aur
saara din bas masti karna...
yu baat-baat par rooth jana aur phir
khana na khana...

apni galti hone par bhi papa ko chilakar kehna.....
"papa shivam mar raha hai.."
yu har agli chuti par nanighar jana
aur waha jamghat bana sab baccho ka masti karna....

wo mama ki dukan se bar-bar
toffi lekar khana..
aakhir kitni mithi aur swadisth hoti
thi wo toffi..

aaj wo gazak mano wahi toffi thi..
aur meri pyari se "Udi..." wo bachpan
jo mere jehen me utar aaya...

uski jigyasa ne mujhe aaj phir
baccha ban jane ko utsuk sa kiya..
uske prashno ka uttar dene ne..
mano mujho history/geography yaad
dilane ko majboor kiya...

aaj bhi unhi baccho ka jamghat to hai..
lekin waqt shayad kuch badla-badla sa hai..
sab mano bahut samajdar ho gaye ho..
aur apni-apni manjil ko pane ke liye
ek rah ki taalash kar rahe ho...

lekin bachpan to abhi bhi hai..
baccho ke saath baccha ban jana ko
to ji aaj bhi chahata hai...

bas is waqt ki door ko muthi me thaam
bachpan ki yaado ko sametne ko ji chahata hai....

No comments:

Post a Comment