waqt ke daraaz me rakhe
purane "panne" kuch kehna
chahte hai..
is neeli shiyahi ki dastan
byaan karna
chahte hai..
gamon ki nagri mein
khushi ki lehar jagana
chahte hai..
beete lamho ka ek shabnami
jaam pilana
chahte hai..
khwabo ke aashiyane
mein jaan dalkar
shabdo ki duniya ki ser karana
chahte hai...
yaado ki kasak jagakar
rishto ki door ko mehkana
chahate hai..
din raat daudti zindagi ki
surgam ko chokar...
ek nayi dhun gungunana chahte hai..
tanhai mein aaksar hamse milna
chahte hai..
khamooshi mein bhi koi raag
sunana chahte hai...
nazrein duniya ki jab sath
chod de..
us mod par ek awaaz dena
chahte hai..
is mitti ki murat(insan) ko
uske hal-e-dil se
rooh-bhruh karana chahte hai..
lamha lamha waqt guzar jayega
rooh ka daman bhi sath chod
jayega..
waqt ke dayre se hum nikal na
jaye..
isliye likh le e zindagi kahani
is afsaney ki ye batlana chahte hai..
waqt ke najakat ka ehsaas dilana chahte hai....
purane "panne" kuch kehna
chahte hai..
is neeli shiyahi ki dastan
byaan karna
chahte hai..
gamon ki nagri mein
khushi ki lehar jagana
chahte hai..
beete lamho ka ek shabnami
jaam pilana
chahte hai..
khwabo ke aashiyane
mein jaan dalkar
shabdo ki duniya ki ser karana
chahte hai...
yaado ki kasak jagakar
rishto ki door ko mehkana
chahate hai..
din raat daudti zindagi ki
surgam ko chokar...
ek nayi dhun gungunana chahte hai..
tanhai mein aaksar hamse milna
chahte hai..
khamooshi mein bhi koi raag
sunana chahte hai...
nazrein duniya ki jab sath
chod de..
us mod par ek awaaz dena
chahte hai..
is mitti ki murat(insan) ko
uske hal-e-dil se
rooh-bhruh karana chahte hai..
lamha lamha waqt guzar jayega
rooh ka daman bhi sath chod
jayega..
waqt ke dayre se hum nikal na
jaye..
isliye likh le e zindagi kahani
is afsaney ki ye batlana chahte hai..
waqt ke najakat ka ehsaas dilana chahte hai....
No comments:
Post a Comment