mann mai basi hai jiski surat
wo to hai mamta ki murat,
mamta uski itni nirali
karde charo aur hariyali,
karna mat tum usko dukhi
kyunki rakhti hai wo sabko sukhi,
apni ichao ko bhulakar
karti sabki icha poori,
nirmal hai uska charitra
jaise hai ganga pavitra,
ungli pakad ke chalna sikhati
pyar se humko gale lagati,
dua humko har pal deti
badle mai wo kuch na leti,
bol hai uske itne mithe
chu jaye jo dil ko sidhe,
khushi ki wo aise lehar
jo rakhti door har dukh ka kehar,
jhalak uski itni pyari
tarse jiske liye aankhiya hamari,
kitni sundar hai uski maya
jo har pal deti humko chaya,
ishwar bhi chahe jisko pana
hai wo mamta ka anmol khajana,
sabke dil pe jaye cha
hai wo pyari maa.....
wo to hai mamta ki murat,
mamta uski itni nirali
karde charo aur hariyali,
karna mat tum usko dukhi
kyunki rakhti hai wo sabko sukhi,
apni ichao ko bhulakar
karti sabki icha poori,
nirmal hai uska charitra
jaise hai ganga pavitra,
ungli pakad ke chalna sikhati
pyar se humko gale lagati,
dua humko har pal deti
badle mai wo kuch na leti,
bol hai uske itne mithe
chu jaye jo dil ko sidhe,
khushi ki wo aise lehar
jo rakhti door har dukh ka kehar,
jhalak uski itni pyari
tarse jiske liye aankhiya hamari,
kitni sundar hai uski maya
jo har pal deti humko chaya,
ishwar bhi chahe jisko pana
hai wo mamta ka anmol khajana,
sabke dil pe jaye cha
hai wo pyari maa.....
No comments:
Post a Comment