Saturday, 6 October 2012

Adbhut Nari

shabdo ko piro kar ek abhivyakti rachna chahati hu
kala ke kalatmak se yeh karya karna chahati hu,

door ek punchi tak pehgam puhchana chahati hu
ek naye aayam ko anjaam dena chahati hu,

nari hu nari ka vyaktitva nibhana chahati hu
nari ke astitv ko bulandio par le jana chahati hu,

nari ke prati drishtikon badalna chahati hu
ek naye yug ka nirman karna chahati hu,

har dukh ke kehar ko mitakar
khushi ki lehar ban jana chahati hu,

nadi bankar sagar se mil jana chahati hu
namkinta ko mithas me parivartit karna chahati hu,

nari ko nar ki kamjori na banane dungi
nari ko nar ki shakti banana chahati hu,

andhiyare me ujiyare ki chamak lana chahati hu
swecha se apni har karya karna chahati hu,

phoolo ki khushboo se mehakna chahati hu
chidya ki chachahat ko mehsus karna chahati hu,

kadam se kadam milakar aaj me chalna nahi
dodna chahati hu,

shabdo ki duniya ka brahman
karna chahati hu,

chahati hu bahut kuch, lekin purna hoga kya??

isi prashna chinha ko hi to uttar me badalna chahati hu,

Ha....mai nari hu..
or bas nari ke astitva ko ek nayi pehchan dena chahati hu...

No comments:

Post a Comment